Dekh Kar Guzar Gaye

देख कर गुज़र गए ( Dekh Kar Guzar Gaye) (23/11/11)

वो मेरी तरफ देख कर गुज़र गए,
ना कुछ कहा ना बात की,
ना रुक के मुलाकात की,
डाल कर मुझपर बस एक नज़र गुज़र गए,
वो मेरी तरफ देख कर, देख कर गुज़र गए।

Woh meri taraf dekh kar guzar gaye,
Na kuch kaha na baat ki,
Na ruk ke mulaqat ki,
Daal kar mujhpar bas ek nazar chale gaye,
Woh mei taraf dekh kar, dekh kar guzar gaye.

सोचा की आवाज़ दूं,
किसी तरह तो रोक दूं,
लबों पर,पर लव्ज़ न आ सके,
और वोह मेरे हाल से युहीं बे खबर चले गए,
वो मेरी तरफ देख कर, देख कर गुज़र गए।

Socha ki awaaz doon,
Kisi tarah to rok doon,
Labon par,par lawz na aa sake,
Aur woh mere haal se yuhin be-khabar chale gaye,
Woh meri taraf dekh kar,dekh kar guzar gaye. 

रुक-रुक के जा रहे थे वो,
किसी चीज़ का जैसे इंतज़ार हो,
ज़ुल्फ़ की चादर से मुड़ कर भी देखा किये,
कोई इशारा मगर बिना किए निकल गए,
वो मेरी तरफ देख कर, देख कर गुज़र गए।

Ruk-Ruk ke jaa rahe the woh,
Kisi cheez ka jaise intezaar ho,
Zulf ki chadar se mud kar bhi dekha kiye,
Koi ishara magar bina kiye nikal gaye,
Woh meri taraf dekh kar,dekh kar guzar gaye.

फिर तो मिलना ही था,
ये दिल को एतबार था,
पहली नज़र का ये पहला प्यार था,
उम्र बिता दी वहीँ इंतज़ार इस कदर किए,
वो मेरी तरफ देख कर, देख कर गुज़र गए।

Phir to milna hi tha,
Ye dil ko aitbaar tha,
Pehli nazar ka ye pehla pyaar tha,
Umra bita di wahin intezaar is kadar kiye,
Woh meri taraf dekh kar,dekh kar guzar gaye.

Comments

Popular posts from this blog

Raksha Bandhan - Jiski Bahan Nahin Hoti.

Na Muhn Chupa Ke Jiye Hum Na Sar Jhuka Ke Jiye

The Seven Stages Of Love