Dekh Kar Guzar Gaye Reprise
देख कर गुज़र गए। (Dekh Kar Guzar Gaye)
Woh Meri Taraf Dekh Kar Guzar Gaye,
Na Kuch Kaha Na Baat Ki,
Na Ruk Ke Mulaqat Ki,
Daal Kar Mujhpar Bas Ek Nazar Chale Gaye,
Woh Meri Taraf Dekh Kar, Dekh Kar Guzar Gaye.
Socha Ki Awaaz Doon,
Kisi Tarah To Rok Loon,
Lab Kuch Magar Na Keh Sake,
Aur Woh Mere Haal Se Yuhin Be-Khabar Chale Gaye,
Woh Meri Taraf Dekh Kar,Dekh Kar Guzar Gaye.
Ruk-Ruk Ke Jaa Rahe The Woh,
Meri Nazar Ka Jaise Intezaar Ho,
Zulf Ki Chadar Se Mud Kar Bhi Dekha Kiye,
Koi Ishara Magar Bina Kiye Nikal Gaye,
Woh Meri Taraf Dekh Kar,Dekh Kar Guzar Gaye.
Phir To Milna Hi Tha,
Ye Dil Ko Aitbaar Tha,
Pehli Nazar Ka Ye Pehla-Pehla Pyaar Tha,
Umr Bita Di Wahin Intezaar Is Kadar Kiye,
Woh Meri Taraf Dekh Kar,Dekh Kar Guzar Gaye.
Still I Rise - Maya Angelou
Still I Rise - Maya Angelou
"मैं फ़िर भी उठूंगी" .
Qaid Mein Delhi
क़ैद में दिल्ली (Qaid Mein Delhi)
क़िले में तब्दील है दिल्ली,क़ैद में हैं दिल्ली वाले,
समझ आता है अब क्यों लड़े थे आज़ादी के मतवाले,
चलने,मिलने,बोलने ही नहीं सोच पर भी जब लगाए कोई ताले,
अपनी सरकार चुनने के अधिकार को भी जब कोई चुराले,
तब चुप रहना अपराध है, ज़ुल्म से सहमत होना गुनाह,
सत्ता के आगे खड़े रहना ही है चाहे जितना कोई डराले।
Kile Mein Tabdeel Hai Delhi, Qaid Mein Hain Delhi Wale,
Samajh Aata Hai Ab Kyun Lade The Azaadi Ke Matwale,
Chalne,Milne,Bolne Hi Nahin Soch Par Bhi Jab Lagaye Koi Tale,
Apni Sarkaar Chunne Ke Adhikaar Ko Bhi Jab Koi Churale,
Tab Chup Rehna Apradh Hai, Zulm Se Sehmat Hona Gunaah,
Satta Ke Aage Khade Rehna Hi Hai, Chahe Jitna Koi Darale.
Imprisoned Delhiites by Turning Delhi Into A Fort,
It Remind You Why Those Freedom Fighters Faught,
Your Movements,Your Voice and Even Your Thoughts Get Choked,
They Steal Your Vote and You Don't Get Justice Even From Court,
Then Silence is a Crime and Getting Oppressed is Like Punishment,
Then Stand in Front of Them To Whichever Technique They Retort.
Dard Ka Had Se Guzarna Hai Dawa Ho Jana - Mirza Ghalib
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना। (Dard Ka Had Se Guzarna Hai Dawa Ho Jana) - When pain exceeds all bounds, it becomes, itself, the remedy. - Mirza Ghalib
इशरत-ए-क़तरा है दरिया में फ़ना हो जाना,
दर्द का हद से गुज़रना है दवा हो जाना।
Ishrat-e-Katra Hai Dariya Mein Fana Ho Jana,
Dard Ka Had Se Guzarna Hai Dawa Ho Jana.
To be consumed by the ocean is the droplet's ecstasy,
When pain exceeds all bounds, it becomes, itself, the remedy.
तुझ से क़िस्मत में मिरी सूरत-ए-क़ुफ़्ल-ए-अबजद,
था लिखा बात के बनते ही जुदा हो जाना।
Tujh Se Kismat Mein Meri Surat-e-Kufl-e-Abjad,
Tha Likha Baat Ke Bante Hi Juda Ho Jana.
In my destiny, with you, it was written like a combination lock,
to be separated at the moment when it unlock.
दिल हुआ कशमकश-ए-चारा-ए-ज़हमत में तमाम,
मिट गया घिसने में इस उक़दे का वा हो जाना।
Dil Hua Kashmakash-e-Chara-e-Zehmat Mein Tamam,
Mit Gaya Ghisne Mein Is Ukde Ka Va Ho Jana.
The heart exhausted itself in getting the cure of the trouble,
Worn out itself to undone in the process to unravel.
अब जफ़ा से भी हैं महरूम हम अल्लाह अल्लाह,
इस क़दर दुश्मन-ए-अरबाब-ए-वफ़ा हो जाना।
Ab Jafa Se Bhi Hai Mehroom Hum Allah-Allah,
Is Kadar Dushman-e-Arbab-e-Wafa Ho Jana.
Alas! Now I am deprived even of her cruelty,
to think to become such an enemy to the faithful is a rarity.
ज़ोफ़ से गिर्या मुबद्दल ब-दम-ए-सर्द हुआ,
बावर आया हमें पानी का हवा हो जाना।
Zoff Se Girya Mubaddal Ba-Dam-e-Sard Hua,
Bawar Aaya Hamein Pani Ka Hawa Ho Jana.
Weakness has turned my tears into cold sighs so rare,
now I understand the process of transformation of water into air.
दिल से मिटना तिरी अंगुश्त-ए-हिनाई का ख़याल,
हो गया गोश्त से नाख़ुन का जुदा हो जाना।
Dil Se Mitna Tiri Angusht-e-Hinai Ka Khayal,
Ho Gaya Gosht Se Nakhun Ka Juda Ho Jana.
The fading memory of your henna-stained finger from my heart,
is like to tear flesh from the nails apart.
है मुझे अब्र-ए-बहारी का बरस कर खुलना,
रोते रोते ग़म-ए-फ़ुर्क़त में फ़ना हो जाना।
Hai Mujhe Abr-e-Bahari Ka Baras Kar Khulna,
Rote Rote Gham-e-Furkat Mein Fana Ho Jana.
Either until the sky clear to pour completely like a spring cloud,
Or end my existence crying in sorrow of separation without any doubt.
गर नहीं निकहत-ए-गुल को तिरे कूचे की हवस,
क्यूँ है गर्द-ए-रह-ए-जौलान-ए-सबा हो जाना।
Gar Nahin Nikhat-e-Gul Ko Tere Kuche Ki Hawas,
Kyun Hain Gard-e-Rah-e-Jaulan-e-Saba Ho Jana.
If the fragrance of the flower does not yearn for your street,
Why dust remains in the wind's pathway for you to meet?
बख़्शे है जल्वा-ए-गुल ज़ौक़-ए-तमाशा 'ग़ालिब',
चश्म को चाहिए हर रंग में वा हो जाना।
Bakshe Hai Jalwa-e-Gul Zauk-e-Tamasha 'Ghalib',
Chasm Ko Chahiye Har Rang Me Va Ho Jana.
'Oh Ghalib', the splendor of the flower bestows the longing for observation,
to the awakened eye,it itself turns into the color of the flower in the garden of imagination.
ता कि तुझ पर खुले एजाज़-ए-हवा-ए-सैक़ल,
देख बरसात में सब्ज़ आइने का हो जाना।
Ta Ki Tujh Par Khule Ejaz-e-Hawa-e-Saikal,
Sadko Par Hai Phir Hindustan Aaj
सड़को पर है फिर हिंदुस्तान आज ! Sadko Par Hai Phir Hindustan Aaj
सड़को पर है फिर हिंदुस्तान आज,
फिर छिनेंगे तख़्त और उड़ेंगे ताज।
अपनी पहचान बचाने को,
निकले हैं भूल कर काम-काज।
Sadko Par Hai Phir Hindustan Aaj,
Phir Chinenge Takht Aur Udenge Taj,
Apni Pehchaan Banane Ko,
Nikle Hai Bhool Kar Kaam-Kaaj.
चुप थे जब पैसे बदलने को कतार में खड़े थे,
चुप थे जब कारोबारियों के काम-धंदे बंद पड़े थे,
चुप थे जब जन्नत में घुसने के रस्ते बंद पड़े थे,
चुप थे जब किसान ख़ेती छोड़ दिल्ली के बाहर अड़े थे,
Chup The Jab Paise Badalne Ko Kataar Mein Khade The,
Chup The Jab Karobariyon Ke Kaam-Dhande Band Pade The,
Chup The Jab Jannat Mein Ghusne Ke Raste Band Pade The,
Chup The Jab Kisan Kheti Chod Delhi Ke Bahar Ade The.
चुप थे जब मज़लूम मुस्लिम झूठे गौ-रक्षकों के हाथो मरे थे,
चुप थे जब नागरिकता अपनी बचाने कुछ लोग सड़को पर पड़े थे,
चुप थे जब भूख से बचने घर की और पैदल चले थे,
चुप थे जब हिन्दू-मुस्लिम के चक्कर में सरे मुद्दे नीचे दबे थे,
Chup The Jab Mazloom Muslim Jhute Gau-Rakshako Ke Hatho Mare The,
Chup The Jab Nagrikta Apni Bachane Kuch Log Sadko Par Pade The,
Chup The Jab Bhook Se Bachne Ghar Ki Aur Paidal Chale The,
Chup The Jab Hindu-Muslim Ke Chakkar Mein Sare Mudde Neeche Dabe The.
ये चुप्पी नहीं चिंगारी थी, जिसने है ज्वाला का रूप लिया,
नौजवानो ने इसलिए आंदोलन का है रुख किया,
क्यूंकि पेपर के बाद अब वोट भी है चोरी किया,
लाठी-डंडो के डर को अब दिल से है दूर किया।
Ye Chuppi Nahin Chingari Thi,Jisne Hai Jwala Ka Roop Liya,
Naujawano Ne Isliye Aandolan Ka Hai Rukh Kiya,
Kyunki Paper Ke Baad Ab Vote Bhi Hai Chori Kiya,
Lathi-Dando Ke Dar Ko Ab Dil Se Hai Door Kiya.
तख़्त (Takht) - throne; मज़लूम (Mazloom) - helpless ; नागरिकता (Nagrikta) - citizenship
Sab Gandhi Ban Jate Hain
सब गाँधी बन जाते हैं। (Sab Gandhi Ban Jate Hain)







